| 
	
        
     
	
	 
		
	 
	
	  
	
Shair Shayari
 
	
 
  	
	| 
	
	     Shayari!!!!   
       Shokki hein najakat hein , aankhoon mein shararat hein  Aisa bhi sharmana kya ,kah do ki mohabbat hein  Aah!!! kahne ki jaroorat kya,baaton ki hakeekat kya  chhalke na nigahoon se aisi bhi mohabbat kya!!!      Tapat Sooraj mein hoti hain  Tadapna sabko padta hain  kasoor aankhon ka hota hai  Tadapna dil ko padta hai      Tu kaatil tera chehra kaatil  Chehre ka ye kala til bhi katil  bhool kar bhi kahin tum dekh na lena aaina  ki kahin mar na de katil ko katil      Bikhari hui zulfoon ko girahgeer bana lo,  rakhna hai mujhe kaid to zanjeer bana lo  kaagaz pe lakeeren to bahut kheech le tumne,  ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo      Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao  Itna ruk ruk ke chalogi to quayaamat hogi.      Saamne baithe raho dil ko qaraar aa'aegaa  Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa'aegaa      hosh vaalo.n ko Khabar kyaa beKhudii kyaa cheez hai  ishq kiijiye phir samajhiye; zi.ndagii kyaa cheez hai      Mast nazaron se kyon dekha, gar tamanna thi aazmaane ki  hum to yoon hi ghayal they, kya zaroorat thi muskurane ki      Chand agar nikal aaye,  to ye raat sunahi ho jaye  tum bhi gar aa jao kareeb,  to mausum aur bhi rumani ho jaye      Yahi andaaz to bas unke sitam dhaate hain  Na wo rukte hain, na aane ki kasam khaate hain      Khaas Likha Hai Khat Mein, Zara Ahista Boliyega  Bhej Raha Hoon Dil Apna, Zara Ahista Kholiyega      Khuda jab husn deta hai  To nazaaqat aa hi jaati hai  Kitna bhi sambhalke rakho paer  Kamar bal khaa hi jaati hai !      Sapney dekhta hain raat ko aashiqui ke,  Aur darta hain ki jaldi subah na ho  Mashooq dhoondta hain khoobsurat koi,  Par darta hain ki voh bewafa na ho      Teri aankhon mein dekhi hai,  Pyar ki chahat humne,  Juban se ikrar kar lo,  to yakin ho jaye !!        Dil diya aitbar ki had thi Jaan de di yeh mere pyar ki had thi  Mar kar bhi aankhen khuli rah gayi  Aur kuch nahi yeh tere intezar ki had thi      Mere Marne Ke Baad Mere Sene Se  Dil Nikal Lena  Kahi Woh Na Jal Jaaye  Jo Mere Dil Me Rehte Hai. (True love)      Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Buj jaya Karte Hai  Aur ek hum hai; jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai      Shaam hote hi chiragon ko bujha deta hoon  Yeh dil hi kaafi hai teri yaad main jalne ke liye      Roz Taron kee numaa-ish mein khalal padta hai  Chand paagal hai andherey mein nikal padta hai  Unkee yaad aayee hai saanso zara ahista chalo  dhadkano se bhi Ibaadat mein khalal padta hai"      Jis shaam mere lab per tera naam na aaye,  Khuda kare aisi shaam na aaye....  Aai jaane wafa, ye kabhi mumkin hi nahin,  Afsaana likhnu aur tera naam ma aaye.      Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par  Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi      Tu is tarah se mere dil main shamil hai  Jahan bhi jaoon lagta hai teri mahfil hai      Chiraagon Ki Roshni Jab Zara Hili,  Laga Tumahari Ek Aahat Si Mili  Jaake Dekha Jab Dar Pe,  To Phir Wahi Kafir Hawa Mili      Mere khuda mujhe thodi si zindagi dede  Udaas mere janaaze se jaa raha hai koi      ye zaruurii nahii har shakhs masiihaa hii ho  pyaar ke zakhm amaanat hain dikhaayaa na karo      Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed  Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehmoob uski sarhad        Ho gayi hai mashoor bewafai kuch is kadar unki,  Zikar aaya mera mehfil main to jhuk gayi nazar unki.      Tumhari berukhi ne laaj rakh li maikhane ki,  Tum aankhon se pila dete, to paimane kaha jaate      Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko  Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai      Har Inkaar Tere Ikraar Se Aacha Hoga  Mera Har Din Teri Us Raat Se Aacha Hoga  Na Ho Yakin To Jhaak Lena Apni Doli Se  Mera Janaza Teri Baarat Se Aacha Hoga      Kayi Log honge Tere Zanaze Ke Peeche,  Par ek Mein Na hoonga Tere Zanaze Ke Peeche,  Aur mai honga Bhi Kaise Tere Zanaze Ke Peeche,  Jo Mera Zanazaa aa raha hoga Tere Zanaze Ke Peeche.      Hamse Kare Woh Pyar  Izhaar Kisi Aur Se Kare  Khuda Kare Jis Se Kare Woh Izhaar  Woh Bhi Pyar Kise Aur Se Kare      Hal-e-dil likhna chahta tha mai khat mein,  kis tarah jal raha tha uski mohaabat mein  Do lafz likhte hi kalam huee kharab,  Isne bhi na saath diya ulfaat mein.....      Mere Paas Se Woh Gujri Mera Haal Tak Na Pucha  Me Kaise Yakin Kar Lu Ki Woh Door Jakar Ke Roi.      Baat chalii teri aankhon se, jaa pahunchii paimaane tak  kheench rahi hai terii ufat aaj mujhe maiKhaane tak      Zaroori to nahi ki koi gam bhi ho shaamil,  haan yoon bhi aksar nikal aate hai aasoon      Wafa ka naam na lo yaron,  Wafa dil ko dukahati hai.  Wafa ka naam lete hi,  hume ek bewafa ki yaad Aati hai      Hawa gharon mein kahan itni tez chalti hai  magar use to hamara diya bujhana tha    Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye  wo hi aa jaate hain yaad hamen rulane ke liye        na salaam yaad rakhna  na paigaam yaad rakhna  ho sake tho zindagi mein  hamara naam yaad rakhna    Kaun rakhta hai yaad naamo ko,  logh insaan ko bhool jaya karte hai.  tum samandur ke baat karti ho,  logh aankho mein doob jaya karte hai.    dil ki haalat wo samjhe ki jisne chot khayee hai  ek baar nahi, kai baar, ye zahamat jisne uthai hai  jisko ab har shakhs nazar aata harjaai hai  jisne bas todne ke liye hi kasam khayee hai  tum kya jano muhabbat ki raah mein kitni ruswayi hai  tumhaari aankhon mein to bas TIDDI samayi hai    khakar ke do chot, janaab khud ko sayana samjhte hain?!,  lab pe nahi laate, magar aahen hum dil mein bharte hai,  ruswayi karna, pichli baato pe, nahi hai samajhdari,  badal de apne khayalaat, nahin to rah jayegi tu kuwari!!    mana ki dil toota hai kai baar lekin  humne kab kaha ki hum sayane hain  arre itna bhi nahi samjhe huzoor  hamdardi haasil karne ke bahane hain    hamdardi kar sakte hain woh,  khud ka dard jinka ho kam,  bedard na samjhna hamko tum,  apne bhi hai yaroon laakhon gam.    bedard hame samajhte hai wo par bedard hum hain nahi  humse apna hal-e-dil wo aakar kabhi kahen to sahi !!    sunane gaye the unhe haal-e-dil,  dard unka sunkar ro aaye magar.      dekhte hai duniya ki aankhon se,  aashiqon ki yehi aadat kharab hai  dil ki aankhon se dekhe gar koi,  har haseen ko samjhna aasan hai    sochta hoon gar koi aisa raasta hota,  ki har haseen ko samajhna kuch aasan hota  to hota har shaksh aashique, sabka hota fasana  aur fir isque ki keemat na samajhta ye zamana        log kehte hein , wah kaise shabnam chhai hai,  unhe kya maloom, chand ne ro ke raat bitai hai      Hein Chaand Tu Is Tarah Itrakar Na Dekh,  Humne Bhi Kayee Chand Dekhen Hein,  Tummhe To Daag Hein, Humne To BeDaag Dekhen Hein.      Jaane kitne armaan bevajeh aansuon mein dhal jaate hain  hota hai kabhi yoon bhi ke tabbasum se lub chhil jaate hain      Raste main gire hain phool, Uthata hai koi koi  Muhabbat karte hain sabhi, Nibhata hai koi koi      Aye Dost tu itna badkalam na ho  ki kabhi karib se gujrae to dua-salam na ho  Dil mai haazaar gila shikva ho Magar Yeh nahi mumkin  Tum aao mere ghar mein aur ahitram na ho  Haazaar Dusmani Ho tumse,magar Khuda karen  Dil mein kabhi ahsaa..sen intekam na ho      Dushmani jam kar karo magar ye gunjayish rahe  jab kabhi hum dost ho jaye to sharminda na ho      Aey Dost:--  " Zindagi mein pyar tu bahut baar ho jaata hein  par Mohabbat sirf ek baar hooti hein.  Kyon tum Mohabbat ko Dosti ka naam dekar  mohaabbat aur dosti doono ko badnaam kar rahe ho"  " Vo jaanti hai ki tum jaante ho ki vo tumse pyar karti hai  to phir kyon Itrate ho, kahe us kali ko aise tadpaate ho"      Mohabat Ka Naam Dekar  Sitam Izaad Kar Dalaa  Hasinou Ne Jise Chaha  Use Barbad Kar Dalaa         O n T h e L i g h t e r S i d e      Mat pee sharab galib mazjid mein baith kar,  Mat pee sharab galib mazjid mein baith kar,  Ek hi botal hai kahin khuda na mang le.      Yeh tera chehra hai yaa kele kaa chhilka...  Yeh tera chehra hai yaa kele kaa chilka...  Jo dekha tho dil phisal he gaya.      Mainee tumhari yaadon mein.. ro ro ke tub bhar diye...  Aur tum itney be-wafa nikle, ki nahake chal diye!!!      Voh sadak ke is paar thi  hum sadak ke us paar they  kuch hum aage badhe, kuch voh aage badhi  hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi  hum kuch aur aage badhe, voh bhi kuch aur aage badhi  ab hum sadak ke us paar they, aur voh sadak ke is paar thi.      Aur bhi cheezen bahut si lut chukin hain dil kei saath  Yeh batayaa doston nei ishq furmanei kei baad.  Ab kamre ki ek ek cheez check karta hoon mai,  Ek tere aane se pehley ek tere jaane kei baad.      Tum aa gaye ho; noor aa gaya hai  chalo teeno movie chalen.      Aasmaan mein ud raha hai kabootar...  Aasmaan mein... ud raha hain kabootar,  Flutter Flutter,  Flutter Flutter.      Jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu  jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu  jee chahata hei kee tere nazuk honthon ko choom lu...  magar teri bahti hui naak ne iraada badal diya....      Kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote.....  kaaash ke tere chehre par chechak ke daag hote.....  chand to tu hai hi ..sitaare bhee saaath hote !!!      Pyar mein kisine Dhoka to kisine kasam khayi hai  Par hum wo majnoo hai jisne sirf laat khayi hai.      Maine tujhe pyar kiya  Tere baap nai mujhe peeta  Maine tujhe pyar kiya  Tere baap nai mujhe peeta    Tan ki Shakti,Man ki Shakti, Bournvita  Jise dil diya woh dilli chali gayi  jise pyar kiya woh italy chali gayi  dil ne kahaa khud kushi kar le jalim  bijali ko haath lagaya to bijali chali gayi      Door se dekha to Patthhar dikhta tha..  Dooor se dekha.. to Patthharr dikhtaa thaa...  Paas jake dekha to... suchmuch Patthhar hi thaa...      Door se dekha to kuchh dikha nahi...  Dooor se dekhaaa.. to kuchh dikha nahi.....  Paas jake dekhaa to kuchh tha hi nahi      Door se dekha to paani baras raha tha  Door se dekha to paani baras raha tha  Paas gaya... to bheeg gaya.      Ladki boli:  Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,  Chandni chaand se hoti hai, sitaron se nahi,  Mohabbat ek se hoti hai, hazaaron se nahi.    Ladka bola :  Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,  Chandni agar chaand se hogi to sitaron ka kya hoga,  Mohabbat agar ek se hogi to hazaron ka kya hoga.      Mashooka: Lagta hai meri aankh mein kuch gir gaya, dekho to.....  Mashook: Darling, ek tinka dikh to raha hai... kyon na usey  wahin rahne diya jaye... main doobonga to sahara dega......      Bewafa sanam se to cigarette achi hai,  Bewafa sanam se to cigarette achi hai,  Dil jalati hai, par hoto se to lagti hai      Before marriage:  takdir hai magar kismat nahi khulti  tajmahal banana chahata hoon  lekin mumtaz nahi milti    After marriage:  takdir hai magar kismat nahi khulti  tajmahal banana chahata hu  lekin mumtaz nahi marti      Jaane Kis Gam Mey Log Peetey Hain  Hum to bina gam ke hi peetey hain.      Bahut peete the hum...usne kasam dilaake chhudaadi  bahut peete the hum...usne kasam dilaake chhudaadi  yaaron ke sang baitthe the.....USKI kasam dilaake pilaadi!  Aur aakhiri mai kuch yu kaha hai:  Aadmi ke khwaaisho ki koi intehaa nahi  Do gaz zameeN bhi chahiye, do gaz kafan ke baad   
  
	 | 
	
 | 
   
	
	
	
	
  
 | 
	  | 
 
	
	
	
	
  
 | 
	  | 
 
 
	
	
	
	 
	 |